Poem on Banaras. Varanasi, Uttarpradesh.
- Akanksha Soni
- Sep 6, 2020
- 1 min read
Updated: Mar 21, 2021
Mahadev ke trishul pe khada kaashi saara hai,
Shiv ke jatta se behti yahan ganga ki dhaara hai,
Kudrat ka banaya hua ek haseen dildaara hai,
Yeh banaras khaas humara hai..
BHU ke sadko se rishta koi purana hai,
CCD jaisa na koi yahan dusra humara thikana hai,
Bin khaaye VT ke samose kya hum banarasiyon ka guzaara hai?
Yeh banaras khaas humara hai..
Lanka ke momos jaisa swaad na kahin aur ka nirala hai,
Assi ke uss paar aashiqo ki dastaan-e-mohabbat ka fasana hai,
Aur, tutte huye dilo ka ghaato ki mehfil hi ek sahaara hai,
Ek hath mein chai aur dusre mein sutta pyaara hai,
Yeh banaras khaas humara hai..
Chowk ke kauchaudi-Jalebi jaisa na kuch hume bhaata hai,
Shivaratri mein peeke thandai jhumta banaras saara hai,
Banaras ki galiyon mein bita bachpan suhana hai..
Aaj maine mere sheher ki khoobsoorti ko pano par utaara hai,
Yeh banaras khaas humara hai..❤️

Comments